Monday , September 9 2024

Latest Urdu Poetry Messages Collection 2024

New Urdu Poetry Sms in Urdu 2013

Latest Sad Poetry SMS in Urdu 2 Lines Text Messages 2024

Jitna Shaffaf hay tera aanchal

Koi mousam bhi hum ko raas nahin
woh nahin hay tou kuch bhi paas nahin

aik muddat say dil k paas hay woh
aik muddat say dil udas nahin

jub say daikha hay shaam aankhon mein
tub say meray qayaim hawas nahin

meray lehjay mein us ki khushbo hay
us ki baaton mein meri baas nahin

Jitna Shaffaf hay tera aanchal
Utna ujla mera libaas nahin

samnay meray aik darya hay
hont sokhay hain phir bhi pyas nahin

jis ko chaha hay dil-o-jan say saqi
janay woh kion nazar shinaas nahin

Mujhey koi kari si saza tou na do gay

Agar mein bata don mein kia chahti hon
nazron say apni gira tou na doo gay

Jo mein chahti hon, woh tub bhi na chaho
Mujhey koi kari si saza tou na do gay

Mein mohabbaton mein jabar ki qayal nahin hon
Dil laga ker mujh ko bhula to na doo gay

Jo mein bata don meray mun main kia hay
Tum jahan mein tamasha bana to na do gay

Darti hon tum say mein raaz-e-dil sunatay
Tum hansi main baat ura to na do gay

Agar mein bata don mein kia chahti hon
Wafaon k badlay jafa to na do gay
Aur mujh hi say daman chura to na lo gay

Hay afsos os ny mujhy 1 bar bolaya hota.

Kash banane wale ne mjhe kitab bnaya hota.
Woh parhty parhty so jati mujhy seenay say lagaya hota,

Main ous k gum main rota or rota he jata.
Os nay chupky say mujhy senay say lgaya hota.

Os ko dastaan suna suna k thak sa giya.
Kash uss nay b mujhy hal-a-dil sunya hota.

Main oss ka naam leta or subho sham leta tha.
Hay afsos os ny mujhy 1 bar bolaya hota.

Main oss ki khatr trpta rha sham o sehar ~Mohsin~
Arman na hota gar os ny 1 anso he bhaya hota.

See also  JASHNE AZADI Mubarak Poetry Shairy Sms 15 August 1947

Ik tum hi nahi meri judai mein pareshan,

Hum nazuk nazuk dil waley
Kabhi hastey hain kabhi rotey hain
Kabhi dil mein khwab parotey hain,

Kabhi mehfil mehfil phirtey hain,
Kabhi zaat mein gum ho jatey hain,

Kabhi chup ki mohar sajatey hain,
Kabhi geet labon par atey hain,

Kabhi sab ka dil behlatey hain,
Kabhi khud tanha ho jate hain,

Kabhi shab bhar jagtey rehtey hain,
Kabhi lambi taan k sotey hain,

Hum nazuk nazuk dil waley Bas,
apney aap mein rehtey hain…

Jin rahon pe ik umer tere sath raha hun,
Kuch roz se wo raste sunsan bohat hain..

Mil jao kabhi laut k phir aon na shayed,
Kamzor hun mein rah mein tufan bohat hain..

Ik tum hi nahi meri judai mein pareshan,
Hum bhi tu teri chah mein veeran bohat hain..

Ik tark-e-wafa pe mein usay kaise bhula dun,
Mujh per abhi os shakhs k ehsan bohat hain..

Bhar aaien na aankhein tu mein ik bat bataon,
Ab tujh se bicher jane k imkan bohat hain.. ..

Barri Dil Nasheen Hai Yeh Adat Tumhari

Miley Har Qadam PAy Rafaqat Tmhari
Kahan Hum Kahan Yeh Inayat TUmhari

Humein Chahiye Bas Taluq Tumhara
Muhabbat Miley Ya Adawat Tumhari

Kisi Se Bhi Milna, Usay Jeet Lena
Barri Dil Nasheen Hai Yeh Adat Tumhari

NA Dekha Jahan Mein Aur Koi Tumsa
Barri Munfarid Hai Tabiyat Tumhari

Humein Zindagi K Kathan Raston Mein
Hemesha Rahay Gi Zarurat Tumhari…!!!

lagta hai aa chuki hai kami us ki chah main

Kaise woh lot aye ke fursat usse nahin
duniya samajh rahi hai mohabbat usse nahin.

lagta hai aa chuki hai kami us ki chah main
kafi dinon se mujh se shikayet usse nahin.

dil ki zameen us ki hai banjar issi liye
jazbon ki barishon ki jo aadat usse nahin.

her cheez ikhtiar main rakhta hai woh magar
dil se rehai pane pe qudrat usse nahin.

See also  Eid-ul-Fitr Mubarak Wishes Funny Shairy Poetry Sms 2024

Meri jhooli mein mohabbat k siwa kuch bhi nahin

Dil mein ab dard-e-mohabbat k siwa kuch bhi nahin
zindagi meri ibadat k siwa kuch bhi nahin

Mein teri baat bargah-e-naaz mein kia paish keron
Meri jhooli mein mohabbat k siwa kuch bhi nahin

Aey khuda mujh say na lay meray gunahon ka hisab
Meray paas ashk-e-nidamat k siwa kuch bhi nahin

Woh tou mit ker mujhey mil hi gayai rahat werna
Zindagi ranj-o-musibat k siva kuch bhi nahin

Zeest ke rahooN mein dhoop thi har taraf

Pyaar ka meetha “Ehsaas” dilane laga hai tu
Ab to mujh se mujhi ko churane laga hai tu

Teri chahtooN ka chaaya hai saroor is qadar
Har pal har jagah nazar aane laga hai tu

Veeraan thi yeh zindgi tere aane se pehle
Khushiyoon ke sapne mujhe dhikane laga hai tu

Har pal mujhe hota hai bas tera hi “Ehsaas”
Is qadar meri saansoN mein samaane laga hai tu

Ek pal ki bhi doori seh nahi paata hoon main
Hoke juda kyun mujhe azmaane laga hai tu

Raah chalte hue aksar hota hai yeh gumaan
Ke ban saaya saath mere aane laga hai tu

Naam koi bhi looN to naam aaye tera labooN pe
Ban ke jadu meri rooh mein samaane laga hai tu

Teri yadoon se hi aksar hota hai dil munawwar mera
Ghul ke saath lahoo ke nas nas mein samaane laga hai tu

Jaane kaun si dor hai teri aur kheench le jaati hai
Mujh ko apna deewana banaane laga hai tu

Tasvvur mein aksar hota hai yeh mehsoos mujhey
Chorr k duniya meri baNhooN mein samaane laga hai tu

Yeh to bata ke kya naam dooN iss deewangi ko
Bechain kar ke har lamha mujhey tadpaane laga hai tu

Tere khayalooN se mehekne lagti hai zindagi meri
Mere zehn-o-dil pe is qadar chhaane laga hai tu

Yeh masoomiyat yeh bholapan yeh saadgi teri
Mujh ko har adaa se ab satane laga hai tu

Zeest ke rahooN mein dhoop thi har taraf
Apney pyaar ki barish ko barsane laga hai tu

See also  Online Read Fathers Day Wishes SMS 2023

Kya is baat ka tujhey “Ehsaas” hai “Jaan”
Mere har sher mein har Gazal mein aane laga hai tu

Jo bas jata hai dharkan main ussey bhula nahin karte

Safar tanha nahin karte
Suno aesa nahin karte

Chalo tum raz ho apna
Tumhain afsha nahin karte

Suno jis ka muqaddar ho ossey chora nahi karte
Jisay shafaf rakhhna ho ussey maila nahin karte

Jo bas jata hai dharkan main ussey bhula nahin karte
Kisi ko dil dete waqt boht socha nahin kartey

Jo pehlay sey tanha ho ussey tanha nahin karte
Suno yadain sataingi magar roya nahin karte

Suno tum yad atay ho aur hum soya nahin karte

mujhay apna pyar na day saka

Jo na mil saka wo baywafa
yeh bare ajeeb si baat hai

jo chala gaya mujhay chor kar
wohi aaj tak mere saath hai…

Wo roshni kay khayal main
wo na asaka raah mian muntazir

yeh khalish kahan thi visaal main
mere justojoo ko khabar nahi

na wo din rahay na wo raat rahay
jo chala gaya mujhay chor kar

wohi aaj tak mere saath hai..
Kary pyar lab pay koi gila na hoo

yeh kissi kissi ka naseeb hai
yeh karam hai uski jafa nahi

wo juda bhi rehkay qareeb hai
wo aankh hai mere ru baru

ussi haath mein mera haath hai
jo chala gaya mujhay chor kar

wohi aaj tak mere saath hai
mera nam tak jo na lay saka

jo mujhay qarar na day saka
jissay ikhtiyaar tau tha magar

mujhay apna pyar na day saka
wohi shakhs mere talassh hai

wohi dard mere hayaat hai
jo chala gaya mujhay chor kar
wohi aaj tak meray saath ha

Jo na mil saka wo baywafa
yeh bare ajeeb si baat hai

jo chala gaya mujhay chor kar
wohi aaj tak mere saath hai…

Wo roshni kay khayal main…

About Zeshan Akram

Zeshan Akram, a professional blogger since 2013, specializes in educational content. With a Master's degree from AIOU, he is a trusted source for Pakistani education insights on biseworld.com.